Tuesday, 4 February 2014

Tasawur22

Na teyri quaid jaisi nigah na teyri iqbal jaisi parvaaz
      Tun kis mun say kehta hai khud ko shahbaz. 
Soch say bhi zaida takleef uthani parti hai
  Janab phir ja kar kahin sochna ata hai.
    Keyriyan chor kar pisu nahi maray jatay
Machliyon k saharay banday nahi taray jatay.
Phudu khata hukumat aur pareyshan awam
        Kar na deyna Pakistan ko nelam. 
Kheir ye Islami mulk hai kahan
 Har cheez ki ijazat hai yahan.
 

Sain farooq jaisa munsif kahan jis ko log pochtay thay saval
  Ab to gavah bhi biktay hain vakeel bhi utartay hain khaal.
Ye kaisa hai cricket ka khail
Chot jati hai musafir ki rail.
   Kis nay kaha tujh say cricket khail
Ay muslim Islam ki khatir taklefain jhail.
Na teri baton ka sir na paon
Na ye dhop aur na ye chaon.
      Ashiq ki khaal otar jati hai par ishq ka rang nahi otarta
Tezab say bhi dho kar daikh liya musalman ka zang nahi otarta.
    Jurm kiya sach bata kar
Mujrim huva qalam chala kar.
Kya hai teray faqeer me farooq jaisa insaf
      Kya ye chal sakta hai batil k khilaf.
   
           Na tujh me ali ki liaqat
Sain baglol tun chor narae khilafat.
     Na raha aj koi usman
Jo tha sakhavat ka asmaan.
Mashaq kernay say amal me puktagi ati hai.RXX.
Jaisa bhi hun bus hun
Ab ye na pochna kyun.
Kabhi majnu kabhi pagal kabhi devana kehti hain
        Mard k jazbaat ko ye bahana kehti hain.
   Shaira nahi milti to shair hi la do
Koi to mujhay apni takar ka dikha do.
Sain baglol phudhu khata hukumat aur pareyshan awam
               Kuch aisa hi hai apnay mulk ka nizam.
     Dikhta hai aik hi pal me jamaal
Shart ye hai banda ho sahibe kamaal.
Cheel ki nazar say larkiyon ko mat dhondh
Varna log teyra nam rakh dain gay bhondh.
Fasal ugti nahi ugai jati hai
Tali bajti nahi bajai jati hai.
Jinu labh javay dolat faqar de vadu
    Oh ke karay ga ban k sadhu.
Ucha udan tay thalay veykhan garoor na vich avay
      Khudi de shan nirali ik rang avay ik javay.

   
  Na mili asoodgi
Barhati gai aloodgi.
         Mosam ka lihaz bhi na kiya sardi me hi dil toor diya
Shayad wo bhi ye janti thi sardi me lagi chot zaida dard deyti hai.
Nabyon nay bay hoda rasmon ko pakeza rasmon say badal diya.Sain Baglol.
Phudu khata hukumat aur pareshan awam
       Pakistan ko sain baglol ka salam.
Suntay ho aik to paisay do upar say ghenton tak intezar karo
        Tabeeb check karay to theek nahi to aisay hi maro.
Sain bakray pharnay ka nam pehalvani nahi
     Baal kalay kernay ka nam javani nahi. 
Galti say bhi mat kehna kuch karo
Yahan par saray ulta hi kertay hain.
Kufar ka nam rakhtay phirtay hain Islam
        is say zaida kya ho ga haram.
   Qabar parasti aur mushrikana aqaid
Kya yehi sikhatay hain tujhay teray quaid.
Jis k sath bhi hon banday do char
Wo kerta phirta hai ulta hi prachar.
  Koi sahabi kisi qabar ko pojta raha ho to batao
Koi aik bhi misaal aisi milay to hamain bhi dikhao.
  Sain baglol sahaba k tareqay aur musalmano k aur hain
 Faisla kerna kuch mushkil nahi aj k musalman hi chor hain.
Wo sahabi jin ki sahfon me tha itehad
 Jo batil k muqblay k liye thay faulad.
Khof hai kahin gilazat ko buzurgon ka tabarak samajh kar na chatnay lagain
Sain ye musalman kahin meylon me gilazat ko batore tabarak na bantnay lagain.
Jahilana rasmon ka paband ye mashara
  Khud ko kehta phirta hai azad khiyal.
        Aray wo taleem hi kya jo jena na sikhaAy
Jo banday ko banda na banaAy tameez na sikhaAy.
Taleem taleem taleem par tujhay jena na aya
  Afsos tun nay taleem say faida na uthaya.
  Teyri taleem achi hoti to tun bhi acha hota
                               Ya
Phir tujh par achai ki taleem ka asar nahi hota.
Sain baglol aj ka lucha lafanga aur mavali
Fakhar kerta hai khud ko samajh kar hali.
Sohnaya batehray nay punjab vich javan
  Koi vikha jeyra hovay pura musalman.
         Na tun junaid na tun gazali
Tun kithon musalman tun andron khali.
Larayan jhagray tay tamash beni
    Chad day hun sharab peni.
  Cigarette pena ayn tay galan kadna ayn
Pagal kutay vangon dojayan nu vadna ayn.
Na nafrat hari tay na pyar jitya
Banda dovan day vich kar mitya.
Jahilan rasman chad
      Meil dilon kad.
Teyri hat dharmi teyri jahalat
Me kyun karan teyri vakalat.
Meylayan tay jana ayn tay budyan nachana ayn
Tenu sharam nahi andi kyun haram khana ayn.
 Jey ap nai theek hona tay zaban theek kar ley
Bohta nai tey thora jeya dojyan da ehsas kar ley.
Sain baglol cheez wo hai jo bar waqt milay
       Dost wo jo apni jagah say na hilay.
Haqeqat haqeqat hai aur khavab khavab
        Kuch samajh me aya janab.
        Aj k ashiq shurliyan aur patakay chalatay hain
Sahaba nay do eidain manain ye teen char manatay hain.
Jab je chaha ghata liya jab je chaha barha liya
Ye kon sa Islam hai jo musalmano nay bana liya.
Chahay samundar ho ya darya ho ya nehar
        Apni had say bahar aAy to qehar.
Nechay say upar tak aik kam huva hai
Jhot aam huva hai jhot aam huva hai.
Mureed mehanti tay peer kam chor
      Ais ton vad ke dasan hoor.
Sard mosam aur andehri raat thi
   Us k sath akhri mulaqat the.
Faqeer ko zaib nahi deyti tehreer-o-taqreer
  Faqeer ki nigah me honi chahiye taseer.
Wo kahan ka faqeer wo kahan ka peer
      Jis ki nigah me hi na ho taseer.
Talash kernay say bhi nahi miltay musalmano jaisay jahil
             Yehi wajah hai jo hum nay talash chor de.
Nigah say penay valay bottle ko mun nahi lagatay
    Wo aisi gandi cheez k qareeb bhi nahi jatay.
      Sain baglol badmashi me nam kiya to kya kiya
Pakistan k shareef mashoor hain sharafat me nam kar.
Geir qanoni kam qanoni tareqay say kernay ka nam siyasat hai.Rxx.
Arz kiya hai k koi hamain arz kernay hi nahi dayta
Bat abhi mun me hoti hai k ishara chup ka dayta.
     Jo hamain pasand hai wo ap ki soch say bhi bahar hai
Khair chorye in baton ko abhi ap apnay waldain k bachay hain.
  Kehtay hain himat k bal par chaand ko hath lagao
Sain baglol keh day tum chand ko hamaray paas lao.
Khuli kitab daikh kar har koi nazar maarta hai
 Par parh wohi pata hai jo perhana janta hai.
  Naton tak to theek tha suntay hain qavalyan
Subhan Allah kano me pehan rakhi hain balyan.
Naat perhanay k bhi kuch taqazay hotay hain.Sain Baglol.
Ajab ishq hai musalmano ka abhi tak jaan na sakay naat perhanay k adaab
Naton me bhi muqabalay bazi kertay hain kya ye hai in ka ishq janab.
 itna hi bara ashiq hai to band kamray me naat parh
Tujhay kis nay roka hai awaz halki rakhi sari raat parh.
Sain logon ko dikhanay k liye tarz lagai
Jo thori bohat kamai thi wo bhi ganvai.
 Wo bilal jis nay seekhi na kisi say tarz
Jo sadgi ka mazhar tha bus yehi hai arz.
Tujhay amadey mustafa ki khushi hai honi bhi chahiye
Par khushi mananay ka tareeqa tun sahaba say seekh.
Allah Rasool ka nam musalman ko istamal kerna achay say ata hai
  Sain baglol ye quran nahi musalman hi hai jo firqay banata hai.
Afsos baglol teyri tarah ashiq na ban saka
Bemari nay gheir liya rehta hai thaka thaka.
Ochay ghar tay nevay banday
Baron saf tay andron ganday.
Rx kuri nu kehnda raya edhar A tay oh rx nu kehndi rai nai tun edhar A
Donvain apni apni gal tay aray raAy fair ke se vaikday vaikday kuri da ho gaya vaya.
   Rx haray ke ke sochda raya apni mashoq vastay
Ay sochda raya oh kerdi rai kisay hoor naal nashtay.
Rx da nam kuryan vich envain mashoor ay
  Sain baglol jenvain janat de koi hoor ay.
 Door say aie hai aik fax
Jis par likha huva hai rx.

     






       
       Choti se bat bhi ho to lambi kerta hai
Rx larkyon ko dikhanay k liye kangi kerta hai.
Rx olu hi sedha kerna tha to bil batori ki kya zarorat the
     Kya wo sach me bil batori the wo lambi chori the.
Rx kehta hai shareef larkyon ko sharafat say patao
 Sharafat say na manain to bay geirti par otar Aao.
Rx ka dil jis larki par aya us larki ka dil kisi paisay valay larkay par A gaya
Phir kya tha paisa cheez hi aisi hai paisay vala raton rat larki ko ura lay gaya.
Rx theek hi kehta hai larkyon ko paisay say pyar hai
  Larkon say dil behlati hain paisa hi in ka yaar hai.  
    Ameer zahanat k malik hotay to garebon ko tarlay kernay partay
Sari umar guzar jati naak ragartay ragartay aur sajday kernay pertay.
Sain baglol keh day jis musalman ki ibadat qabool hai wo meray samnay aAy
Jab barish na ho to barish barsavaAy jab zalzala aAy to rook kar dikhaAy.
Dari rakh le namaz parhi phir bhi dua rang na laAy
Ye tayri kaisi ibadat hai jo musebat me kam na aAy.
            Tujh par meri koi bat asar nahi kerti
Mardey nadan par kalame narm-o-nazuk bay asar.
    Ye kaisi zahanat hai jo sirf kagaz par nazar ati hai
Teyri zindagi tayri zahanat ka aks kyun nahi dikhati hai.
Asmaan ki taraf aisay daikhtay hain jaisay wahan khuda hai
    Logon say koi pochay kya khuda banday say juda hai.
     Khuda o vay jeyra kisay day hath na avay
Banda door nu suljhavay tay sira na labh pavay. 
Sahaba zalzala rook kar dikha gaAy aur pani par ghoray dora gaAy
     Aj k musalman khud ko musalman keh keh kar sir kha gaAy.
Jis larki ka bhi hath daikha tumhari qismat mein hun rx har larki ko yehi bola
   Aik larki hoshyar nikli boli theek hai me zevar loun ge das tola.
Kinu sunavan apni dastaan
    Koi labhda nahi insan. 
Rx opar tha aur wo rx k nechay
 Jis ki bike the wo rx k pechay.
Mujrim ko pakarnay k liye media shor machata hai
      Media hi mujrim ho to kon samnay ata hai.
      Imandaron ka bhi sir jhuk jata hai jab afsar ka hukm ata hai 
Sain baglol tun kehta kyun nahi us waqt tayra iman kidhar jata hai.
  Dukan ka nam madina ya kaba hai to kya dhoka nahi karain gay
Sain baglol keh kyun nahi dayta ye musalman kab khuda say darain gay.
  Ye kaisay ashiq hain na nigah me taseer na loh-o-qalam hath me
Ye drama zaida dair nahi chalay ga kyun k khuda ki madad nahi sath me.
Sufi namaz parhatay parhatay achanak bay namazi honay laga
                Jab namaz ki haqeqat khuli to ye ronay laga.
Musalamano say koi pochay to sahi kyun qabool nahi hoti tumhari dua
   Namaz bhi perhatay ho halal bhi khatay ho phir kya hai majra.
Kehtay hain khuda tujhay hidayat day aur khud gum rah hain
  Sain baglol keh day chehray safaid aur amaal sayah hain.   
Dua nahi mangi phir bhi jangal khali karva liya
Hukm bhi koi cheez hai sahaba nay bata diya.
Wo farooq jo masjid me hotay hovay jihad me hisa layta raha
Wo farooq jo masjid me hotay hovay saria ko luqma dayta raha.
Ye aj kal k nikamay musalman kehtay hain ham bhi nabi k ashiq hain
Sachay ho to farooq ki tarah zalzala rook kar dikhao darya ka pani barhao.
Anghotay chomtay hain aur chomtay hain quran
    Amal kertay nahi ye kaisay hain musalman.
Vaikh tay sahi musalmana day kertot
    Chori kar k khanday nay shetot.
Zakir bhi thay namazi bhi
 Hussain k qatil qazi bhi.
Sain baglol quran bhi perhatay thay tilavat bhi kertay thay
Hussain ko shaheed kernay valay khuda say na dertay thay.  
Shola nikal hi Ata hai pathar ragartay ragartay
Shartey awal hai gunahaon ka pani na lagay.              
Haray hovay khail ko jeetna jisay ata hai
 Sain wohi to khail ka khilari kehlata hai.
Khatam mujh par shairi ki itiha
Me ban gaya hun bhalu shah. 
1.An allergy is a reaction by your immune system to something that does not bother most other people.
2.Food poisoning is an illness caused by bacteria or other toxins in food.

Visit  www.Tasawur23.blogspot.com